Bura Maan Gay

. (ghazl)
Nazron say nazrain mili to bura maan gay,
Hum nay aankhon say ishara kiya to bura maan gay,
Mohabbat ka izhaar to unhon nay kia,
Hal-e-dil hum nay sunaya to bura maan gay,

Har baat pay muskurana un ke aadat thi,
thora sa hum nay hasaya to bura maan gay,.
Humain aazmanay ke baat krtay thay wo aksar .,
jab hum nay aazmaya to bura maan gay,
Piyar mai bewafai na krna wo yeh aksar khtay thay,.
Jab hum nay dohraya to bura maan gay..
Oron ko pilatay rhe jaam mast nazro se.,
Hath Saghar ne phailaya to bura maan gaye.,