Dhoondtay thay tum se milnay K bahanay kitnay,
Samnay reh Kar b rahy begany kitnay..
Hum ne to piyar ka iK pegham hi diya tha laikin,
Logon ne bana liye afsanay kitnay..
Dil faqat ik mazaar pe sajda raiz rha,
Sar utha Kr dekha to beet gaey zamaany Kitnay..
Jab b mila zindagi main faraib hi mila,
Hum Khud ko samjtay rahy Sayaany Kitnay.
Jab Sulagty raston pr qadam rakha to maloum parra
Pata nhi yahan or b hain deewaany Kitnay..