Nahi Jati

Sharafat soz tasveron ki uryani nahi jati.
Adab ki aar me targheeb e roomani nahi jati.
Khuda maloom nasl e nau ka kia anjam hota hai?
Watan se fahash naghmon ki frawani nahi jati.
Azab aye to us me seinkron ki jan jati hai
Nahi jati to shetanon ki shetani nahi jati
Kahin basti ki basti bond pani ko trasti hai
Kahin barish brasti hai to tughyani nahi jati
Jehan k zaray zaray se numayan hai jalal us ka
Mger hum se khuda ki zat pehchani nahi jati.
Zamana is qader qail hua hei FAIZ jhoton ka
Jo sach kehtay hein un ki aik b mani nahi jati.